Home Uncategorized HINDI KAVITA SANGRAH ABHYARTHNA KAISI HO JANANI

HINDI KAVITA SANGRAH ABHYARTHNA KAISI HO JANANI

817
0
SHARE

MATA 

aaj samajh me aya mujhako, kitani pyari ho tum mata.
mera kitana khayal tu rakhati, aanshu nayano me kyon aata.
mujhe prapt karne ko tu maa, patthar ko bhagwan banaya.
kahi nariyal aur batasha, kahi pe apna shish jhukaya.
kitne kashto ko tum sahkar,apni garv me rakhi mujhako.
pira kitani hoti hogi, mujhe janm dene me tujhako.
jab mai aaya es dunikya me, anjan jagah me khud ko paya.
aisi ghari me tu hi mata, apne sine ser chipkaya.
es duniya me har chijo ki, mujhako tum pahchan karae.
jab bhi mai rudan karta ho, kam chhorkar dauri aae.
mukh se tha jo gunga balak, mere andar se swar lae.
uthakar vistar se chalne ka, tu hi maa abhyas karae.
kisi se jab jhagara hiti, god uthakar mujhe dulara.
vichalit hokar dauri aae, jab bhi tumko kabhi pukara.
sote samay loriya ga kar, aanchal pe tu mujhe sulaya.
babu ji ki gussa se maa, kae bar tu mujhe bachaya.
mai sabka pyara ban jaun, aisa tu sanskar diya maa.
mai banu ek bara adami, eska ashirvad diya maa.
mai tumko kabhi bhul na paun, aisa tu vardan mujhe de.
karta hu eswar se vinati, duniya ki har khushi de.
HINDI KAVITA SANGRAH ABHYARTHNA

KAISI HO JANANI

maa- mai thi jab garwasth roop me, pita tumhare janch karwae.
pata chala ki mai hun beti, aashu nayano me bhar aaye.
tumse kahe vo chupke chupke, mere bhagy ki khel nirali.
etna jap aur dhyan karaya, phir bhi hisse beti aae.
chikitsak ko bulakar usane, apne man ki bat bati.
eswar ko mera sukh na bhae, mere ghar phir beti aayi
chikitsak the kuchh sahme sahme, phir ve aisi raj batai.
pitaji the jo dukh me dube, chehare par phir khushiya aayi.
mata ji ko shily kaksha me , le jakar kuchh dawa sunghayi.
phir kya tha mere jiwan ka, pal bhar me astitw mitayi.
kaisi hriday tumhari mata, apne roop ko samajh na payi.
ek beti beti ko mare, tumhe jara si daya na aayi.
mujhako maa tu mar hi dali, lekin aisa phir mat karna.
beti yadi nahi rahti to, khud ki kalpna bhi mat karna.
sun lo ek beti ki yachna, jisane jiwanchakr chalaya.
jiwan me maa har dukh sahana, aisa pap kabhi mat karna.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here