SHIKSHA KA ASTAR
shiksha ka astar gira ja rah, eska koe fikra nahi hai.
kaisi hogi bhawi pidhi, kisi jua par jikra nahi hai.
rajniti ho rahi vote ki, bhrast niti ki hawa chali.
shiksha kisi ko najar na aati, janta me bhi bari kami hai.
janta ko bahla phusla kar, neta desh chalate aaj.
jise bhavishy ki tanik na chinta, use pujate gawn samaj.
abhibhawak bhi bachche ko, esliye vidyalay bheja karte.
shiksha diksha mile na mile, bhojan to mil jaya karte.
chhatravriti poshak aur saykil, sab mudde par khari sawal.
ye sare mudde karwate, shikshak janta beech babal.
aage desh chalayega jo, khatare me hai unki shiksha.
shiksha hasil yadi kiya na, unhe mangne parfenge bhiksha.
deep gyan ka jal nahi paye, bhavi bachche mange bhiksha.
kre log phir se gulami, kya yuva varg ki yahi hai ekchha.
DHARTI MA KA DUKHARA
dekho mujhako aankh kholkar, kiya mujhe tum tukara tukara.
kin logon par karoo bharosa, kise kahu mai apna dukhara.
mere nam ka hath uthakar, ek taraph karte ho jay.
ek taraph tu mujhe katkar, mujhapar karte ho anyay.
mujhako kat rahe ho aise, jaise koe phal ko kate.
bandar bant kiya sab milkar, tor ke mujhase rishate nate.
sab ho ek jami ke balak, enhi jami se sab ho tagra.
aaj usi ko bant bant kar, aapas me karte ho jhagra.
mujhako tukara tukara karke, mahadesh se desh banaya.
un desho ko tukara karke, phir kitane pradesh banaya.
kyo aapas me larte ho tum, tanik to sun lo meri vani.
jara soch kar yah dekho to koe mara to kisaki hani.
comment jaroor kare
dhanyabad